na main dharmi nahi adharmi
November 1, 2007
na main dharmi nahi adharmi na main jati na kami ho
na main kehta na main suntan na main sevak swami ho
na main bandha na main mukta na nirbandh sarvangi ho
na kahu se nyara hua na kahu ka sangi ho
na hum narak lok ko jate na hum sarag sidhare ho
sab hi karam hamara keeya hum karman ten yare ho
ya mat ko ki birla bujhe so satguru ho baithe ho
mat kabir kahu ko thape mat kahu ko mete ho
- Kabir